DUKHY GHAZALS

New Page 1 Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka

Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka

Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka

Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka

Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka

Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka

Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka...

0 comments:

Post a Comment